Hey guys welcome to Rash Gear! Dosto Hyundai Apni all-new subcompact Sedan official India me launch kar di hai, Jo hai “HYUNDAI AURA” Saath me iski price, all variant details, Colour option, engine specification sabhi details aa Gayi hai.
Hyundai Aura launch price Rs 5.8 lakh in India.
Insights
Sabse phele baat Karte Hyundai Aura ki toh iski price start hoti 5.80 lakhs se low variant and 9.22 lakhs top-end variant ex-showroom India.Dosto aapko bata dun Hyundai aura grand i10 nios par based hai aur ye car new-gen hai Hyundai ki xcent ka.
Total 5 variant me launch ki Gayi hai Hyundai Aura jisme aapko total 6 colour option milenge. ye car sidha takkar degi Maruti dzire and honda amaze ko.
All New Hyundai Aura FULL Detailed Review
Hyundai aura ke engine ki baat kare toh aapko isme two petrol engine aur one diesel engine ka option diya gya hai dono he engines bs6 complaint ke saath aayenge. Isme aapko 1.2 Litre petrol engine Diya jo produced Karta 82 bhp ka power 114 Nm peak torque ke saath.
And 1.2 Litre ka diesel engine Diya hai jo produced Karta hai 74 bhp ka power 190 Nm peak torque ke saath. Uske baad aata 1Litre Gdi Turbo petrol engine ka option jo ki Hyundai ki venue me offered kiya jaata hai.
Ye engine 99 bhp ka power generate Karta hai 172 Nm torque ke saath. Transmission ki baat kare toh aapko 1.2 Litre PETROL AND DIESEL ENGINE me aapko 5-speed manual aur automatic transmission ke saath offered kiye jayenge and 1 Litre Gdi turbo petrol engine aapko sirf 5 speed manual transmission ke saath offered kiya jayega.
Must Read: New Hyundai Verna Price, Launch Date, Specs & More
Hyundai Aura FULL Detailed Review – Price, Latest Features, Powerful Engine, New Interiors
Ab baat karte Hyundai Aura ke dimension aur exterior ki exterior looks ki baat kare toh front me aapko signatures cascading grille, twin led Drls ussi ke saath headlamps kaafi sharp design ke diye hai jiske aapko projector light di Gayi hai ussi ke niche fog lamps diye jisme chrome bezels diya gya hai.aur saath me aapko hisme diamond cut alloy wheel bhi milenge
Car ki dimension ki baat kare toh aapko toh iski length hai 3995 mm hogi iski width hai 1680mm and height hai 1520 mm. Saath Iska jo wheelbase vo 2450 mm ka hai. Car ke boot space 402 liters k Diya Gaya hai jo kaafi Sahi hai. Overall car ki design kaafi had tak aerodynamic di Gayi hai.
Also Read: 3 Best Hyundai Upcoming Cars in India with Price & Specs
Hyundai Aura Interior First Look
Hyundai Aura ke interior ki baat kare toh iska interior kaafi had tak similar hoga i10 nios se. Saath me aapko touchscreen infotainment system Diya jayega jo support Karega Apple CarPlay and Android Auto.
Iske saath he aapko hisme push-button Diya engine start-stop ke liye. Baaki sabhi features aapko mil Jayenge Jese ki automatic climate control, premium fit-and-finish.
Aur safety features me aapko hisme dual airbags, ABS and EBD, seatbelt reminder and ISOFIX child seat mounts, rear parking camera with sensors, keyless entry, high-speed alert, speed-sensing door lock, and impact sensing door unlock function Jese sabhi safety features diye Jayenge.
You May Like:
Top 5 Upcoming Cars In India Under 20 Lakhs
Hyundai Alcazar Price, Launch Date, Specs, Engine
Hyundai aura interior
Toh AAP muje btayiye comment section me Hyundai ki ye aura Kesi Gayi aur kya aap ye car Lena pasand karoge. Jai hind…